Font by Mehr Nastaliq Web

judaa na ham se ho ai KHush-jamaal holii me.n

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    judaa na ham se ho ai KHush-jamaal holii me.n

    ki yaar phirte hai.n yaaro.n ke taal holii me.n

    har ek 'aish se haigaa bahaal holii me.n

    bahaar aur kuchh ab ke hai saal holii me.n

    mazaa hai sair hai har suu kamaal holii me.n

    sabho.n ke 'aish ko phaagun kaa ye mahiina hai

    safed-o-zard me.n lekin kamaal kiinaa hai

    talaa kaa zard kane sar-basar KHaziina hai

    safed paas faqat siim kaa dafiina hai

    har ek dil me.n hai rustam-o-zaal holii me.n

    kahaa safed se aaKHir ko zard ne ye payaam

    ki ai safed tuu ab chho.D de jahaa.n kaa maqaam

    mai.n aayaa ab to miraa band-o-bast hogaa tamaam

    tuu mujh se aan ke mil chho.D apnii zid kaa kalaam

    vagarna khii.ngaa tuu infi'aal holii me.n

    milegaa mujh se to mai.n tujh ko phir ba.Dhaa.u.ngaa

    banaa ke aap saa paas apne le biThaau.ngaa

    kahaa safed ne mai.n mutlaqan na aa.uu.ngaa

    tujhii ko baa'd ka.ii din ke mai.n bhigaa.uu.ngaa

    tuu apnaa dekhiyo kyaa hogaa haal holii me.n

    ye sun ke taish me.n aa zard kaa sipah-saalaar

    cha.Dh aayaa fauj ko le kar safed par yak-baar

    udhar safed bhii la.Dne ko ho ke aayaa savaar

    saf-e-muqaabala dono.n kii jab hu.ii.n tayyaar

    hu.aa karaKHt javaab-o-savaal holii me.n

    milaa idhar se safed aur udhar se zard bahaar

    ghaTaa.e.n ra.ng-ba-ra.ng faujo.n kii jhukii.n sarshaar

    pakhaale.n mashke.n chhuTii.n ra.ng kii pa.Dii bauchhaar

    aur chaar taraf se pichkaariyo.n kii maaraa maaraa

    u.Daa zamii.n se zamaa.n tak gulaal holii me.n

    yahaa.n to dono.n me.n aapas me.n ho rahii ye ja.ng

    udhar se aayaa jo ik shoKH baa-rukH-e-gul-ra.ng

    hazaaro.n naaznii.n maa'shuuq aur us ke sa.ng

    nashe me.n mast khulii zulf jo.De ra.ng-ba-ra.ng

    kahaa ki puuchho to kyaa hai ye haal holii me.n

    kahaa kisii ne ki ai baadshaa-e-mah-ruu yaa.n

    safed-o-zard ye aapas me.n la.D rahe hai.n yahaa.n

    ye sun ke aap vo dono.n ke aa gayaa darmiyaa.n

    idhar se thaa.nbaa use aur udhar us ko ki haa.n

    tum is qadar na karo iKHtilaal holii me.n

    kahaa tumhaarii KHusuumat kaa maajraa hai kyaa

    kahaa safed ne naahaq ye zard hai la.Dtaa

    ye sun ke us ne vahii.n apnaa ik ma.ngaa jo.Daa

    phir apne haath se jo.De ko chhi.Dkavaa.n ra.nvaa

    kahaa ki dono.n raho shaamil-e-haal holii me.n

    phir apne tan me.n jo pahnaa vo kHil’at-e-ra.ngii.n

    sabho.n ko hukm kiyaa tum bhii pahno ab yuu.n hai.n

    hazaaro.n la.Dko.n ne pahne vo jo.Dne phir vuu.nhii.n

    pukaarii KHalq ki insaaf chaahiye yuu.nhii.n

    hu.aa phir aur hii husn-o-jamaal holii me.n

    miyaa.n mai.n kyaa kahuu.n phir is maze kii Thahrii bahaar

    jidhar ko aa.nkh uThaa kar nazar karo ik baar

    hazaaro.n baaG ravaa.n hai.n karo.Do.n hai.n gulzaar

    chaman chaman pa.De phirte hai.n sarv gul ruKHsaar

    'ajab bahaar ke hai.n naunihaal holii me.n

    jo nahr husn kii hai mauj maar chaltii hai

    'alam liye hue aage bahaar chaltii hai

    agaa.Dii mast saf-e-gul-’izaar chaltii hai

    pachhaa.Dii 'aashiqo.n kii sab qataar chaltii hai

    bhuul ke dil me.n KHushii kaa KHayaal holii me.n

    gulaal 'abiir se kitne bhare hai.n chaupaa.e

    tamaam haatho.n me.n ga.Dve bhii ra.ng ke laa.e

    ko.ii kahe hai kisii se ki ham bhii lo aa.e

    to us se kahtaa vo ha.ns kar ki aa mire jaa.e

    ha.nsii-KHushii kaa hai qaal-maqaal holii me.n

    isii bahaar se gokul puure me.n jaa pahu.nche

    aur manDii naa.ii kii aur sayyad KHaa.n kii manDii se

    sab ’aalam-ganj me.n shaa-ganj-o-taaj-ganj phire

    hai.n shahr me.n nahii.n aur gird shahr ke rahte

    hu.aa hujuum kaa bahr kamaal holii me.n

    sabho.n ko le ke kanaarii bazaar me.n aa.e

    phir motii kaTre pal.Thii ke log sab dhaa.e

    ki piipal-manDii-o-pannii galii ke bhii aa.e

    jahaa.n-tahaa.n se ye ghir-ghir ke log sab dhaa.e

    ki be-navaa.o.n ke dekhe.n jamaal holii me.n

    hu.ii jo sab me.n shariif-o-raziil holii me.n

    to pahle ra.ng kii pichkaariyo.n kii maar hu.ii

    kisii kaa bhar gayaa jaama kisii kii pag.Dii bharii

    kisii ke mu.nh pe lagaa.ii gulaal kii muTThii

    to rafta-rafta hu.ii phir ye chaal holii me.n

    ghaTaa.e.n mashk-o-pakhaal kii jhuum kar aa.ii.n

    sunahrii bijliyaa.n pichkaariyo.n kii chamkaa.ii.n

    sabaa ne ra.ng kii bauchhaare.n aa ke barsaa.e.n

    havaa ne aan ke saa.nvan kii jha.Diyaa.n banvaa.ii.n

    lagii barasne ko mashk-o-pakhaal holii me.n

    idhar gulaal kaa baadal bhii chhaa gayaa ghanghor

    sadaa-e-raa’d hu.ii har kisii kaa Gul aur shor

    ye la.Dke naaznii.n bole.n hai.n kokilaa juu.n mor

    tamaam ra.ng kii bauchhaar se hai.n shoraabor

    'ajab hai ra.ng lagii barshgaal holii me.n

    lagaa ke chauk se aur chaar-suu talak dekhaa

    ki jaagah ek bhii til dharne kii nahii.n hai zaraa

    tamaam bhii.D se har taraf band hai rastaa

    tis uupar ra.ng kaa baadal hai is qadar barsaa

    ki har galii me.n bahaa Dholii-khaal holii me.n

    'naziir' holii to hai har nagar me.n achchhii KHuub

    va-lek KHatm hu.aa aagre pe ye usluub

    kahaa.n hai.n aise sanam aur kahaa.n hai.n ye mahbuub

    jinho.n ke dekhe se 'aashiq kaa hove taaza quluub

    tirii niraalii hai yaa.n chaal-Dhaal holii me.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now