Font by Mehr Nastaliq Web

milne kaa tire rakhte hai.n ham dhyaan idhar dekh

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    milne kaa tire rakhte hai.n ham dhyaan idhar dekh

    bhaatii hai bahut ham ko tirii aan idhar dekh

    ham chaahne vaale hai.n tire jaan idhar dekh

    holii hai sanam ha.ns ke tuu ik aan idhar dekh

    ai ra.ng-bhare nau-gul-e-kHandaa.n idhar dekh

    ham dekhne teraa ye jamaal is gha.Dii ai jaa.n

    aa.e hai.n yahii karke KHayaal is gha.Dii ai jaa.n

    tuu dil me.n na rakh ham se malaal is gha.Dii ai jaa.n

    mukh.De pe tire dekh gulaal is gha.Dii ai jaa.n

    holii bhii yahii kahtii hai ai jaan idhar dekh

    ab zard ye cheraa jo tire sar pe jamaa hai

    aur us pe ye turra jo zarii kaa bhii dharaa hai

    niimaa bhii tiraa ra.ng se kesar ke bharaa hai

    poshaak pe terii gul-e-sad-barg fidaa hai

    nargis tirii aa.nkho.n pe hai qurbaan idhar dekh

    holii kii tarab hai jo har ik jaa me.n numuudaar

    sunte hai.n kahii.n raag kahii.n mai se hai.n sarshaar

    hai dil me.n hame.n to tirii nazro.n se sarokaar

    pichkaarii hamaare tuu lagaa yaa na lagaa yaar

    ham ko to faqat hai yahii armaan idhar dekh

    hai dhuum se holii kii kahii.n shor kahii.n Gul

    hotaa nahii.n kuchh ra.ng chhi.Dakne me.n ta.ammul

    daf bajte hai.n sab ha.nste hai.n aur dhuum hai bilkul

    holii kii KHushii me.n to na kar ham se taGaaful

    ai jaan hamaaraa bhii kahaa maan idhar dekh

    hai diid kii har aan talab dil ko hamaare

    jiite hai.n faqat terii nigaaho.n ke sahaare

    hai.n yaa.n jo kha.De aan ke is shauq ke maare

    ham ek nigah ke tire mushtaaq hai.n pyaare

    Tuk pyaar kii nazro.n se mirii jaan idhar dekh

    har chaar taraf holii kii dhuume.n hai.n ahaa haa

    dekho jidhar aataa hai nazar roz tamaashaa

    har aan jhamaktaa hai ajab 'aish kaa charchaa

    holii ko 'naziir' ab to kha.Daa dekhe hai yaa.n kyaa

    mahbuub ye aayaa are naadaan idhar dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now