hu.aa jo aa ke nishaa.n aashkaar holii kaa

bajaa rabaab se mil kar sitaar holii kaa
suruud raqs hu.aa be-shumaar holii kaa
ha.nsii-KHushii me.n ba.Dhaa kaarobaar holii kaa
zabaa.n pe naam hu.aa baar-baar holii kaa
KHushii kii dhuum se har ghar me.n ra.ng banvaa.e
gulaal 'abiir ke bhar bhar ke thaal rakhvaa.e
nasho.n ke josh hue raag ra.ng Thahraa.e
jhamakte ruup ke ban-ban ke svaa.ng dikhlaa.e
hu.aa hujuum 'ajab har kanaar holii kaa
galii me.n kuuche me.n Gul-shor ho rahe aksar
chhi.Dakne ra.ng lage yaar har gha.Dii bhar bhar
badan me.n bhiige hai.n kap.De gulaal chehro.n par
machii ye dhuum to apne gharo.n se KHush ho kar
tamaashaa dekhne nikle nigaar holii kaa
bahaar chhi.Dkavaa.n kap.Do.n kii jab nazar aa.ii
har ishq-baaz ne dil kii muraad bharpaa.ii
nigah la.Daa ke pukaaraa har ek shaidaa.ii
miyaa.n ye tum ne jo poshaak apnii dikhlaa.ii
KHush aayaa ab hame.n naqsh-o-nigaar holii kaa
tumhaare dekh ke mu.nh par gulaal kii laalii
hamaare dil ko hu.ii har tarah kii KHush-haalii
nigah ne dii mai-e-gul-ra.ng kii bharii pyaalii
jo ha.ns ke do hame.n pyaare tum us gha.Dii gaalii
to ham bhii jaane.n ki aisaa hai pyaar holii kaa
jo kii hai tum ne ye holii kii turfa tayyaarii
to ha.ns ke dekho idhar ko bhii jaan yak baarii
tumhaarii aan bahut ham ko lagtii hai pyaarii
lagaa do haath se apne jo ek pichkaarii
to ham bhii dekhe.n badan par si.ngaar holii kaa
tumhaare milne kaa rakh kar ham apne dil me.n dhyaan
kha.De hai.n aas lagaa kar ki dekh le.n ik aan
ye KHush-dilii kaa jo Thahraa hai aan kar saamaan
gale me.n Daal ke baa.nhe.n KHushii se tum ai jaan
pahnaa.o ham ko bhii ik dam ye haar holii kaa
udhar se ra.ng liye aa.o tum idhar se ham
gulaal 'abiir male.n mu.nh pe ho ke KHush har dam
KHushii se bole.n ha.nse.n holii khel kar baaham
bahut dino.n se hame.n to tumhaare sar kii qasam
isii ummiid me.n thaa intizaar holii kaa
buto.n kii gaaliyaa.n ha.ns-ha.ns ke ko.ii sahtaa hai
gulaal pa.Dtaa hai kap.Do.n se ra.ng bahtaa hai
lagaa ke taak ko.ii mu.nh ko dekh rahtaa hai
'naziir' yaar se apne kha.Daa ye kahtaa hai
mazaa dikhaa hame.n kuchh tuu bhii yaar holii kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.