aa bhi ja rut badal jaegi
aa bhī jā rut badal jā.egī
chāñdnī raat Dhal jā.egī
ruḳh se parda haTā lījiye
merī hasrat nikal jā.egī
un ko le aao chāragaro
merī hālat sambhal jā.egī
tum na aao to ḳhat bhej do
kuchh tabī'at bahal jā.egī
hai pareshāñ sambhālo zarā
zulf ruḳh pe machal jā.egī
tere bin chāñdnī mere ghar
aaj aa.ī na kal aa.egī
tere kūche kī sarkash havā
ḳhaak chehre pe mal jā.egī
ai 'fanā' dil lagā lo kahīñ
zindagī ruḳh badal jā.egī
aa bhi ja rut badal jaegi
chandni raat Dhal jaegi
ruKH se parda haTa lijiye
meri hasrat nikal jaegi
un ko le aao chaaragaro
meri haalat sambhal jaegi
tum na aao to KHat bhej do
kuchh tabi'at bahal jaegi
hai pareshan sambhaalo zara
zulf ruKH pe machal jaegi
tere bin chandni mere ghar
aaj aai na kal aaegi
tere kuche ki sarkash hawa
KHak chehre pe mal jaegi
ai 'fana' dil laga lo kahin
zindagi ruKH badal jaegi
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.