aae kuchh abr kuchh sharab aae
aa.e kuchh abr kuchh sharāb aa.e
is ke baa'd aa.e jo azaab aa.e
bām-e-mīnā se māhtāb utre
dast-e-sāqī meñ āftāb aa.e
har rag-e-ḳhūñ meñ phir charāġhāñ ho
sāmne phir vo be-naqāb aa.e
'umr ke har varaq pe dil kī nazar
terī mehr-o-vafā ke baab aa.e
kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb
aaj tum yaad be-hisāb aa.e
na ga.ī tere ġham kī sardārī
dil meñ yuuñ roz inqilāb aa.e
jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām
jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb aa.e
is tarah apnī ḳhāmushī gūñjī
goyā har samt se javāb aa.e
'faiz' thī raah sar-ba-sar manzil
ham jahāñ pahuñche kāmyāb aa.e
aae kuchh abr kuchh sharab aae
is ke ba'd aae jo azab aae
baam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi mein aaftab aae
har rag-e-KHun mein phir charaghan ho
samne phir wo be-naqab aae
'umr ke har waraq pe dil ki nazar
teri mehr-o-wafa ke bab aae
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
na gai tere gham ki sardari
dil mein yun roz inqilab aae
jal uThe bazm-e-ghair ke dar-o-baam
jab bhi hum KHanuman-KHarab aae
is tarah apni KHamushi gunji
goya har samt se jawab aae
'faiz' thi rah sar-ba-sar manzil
hum jahan pahunche kaamyab aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.