aah duniyā sarā-e-fānī hai
aah duniyā sarā-e-fānī hai
kis qadar muḳhtasar kahānī hai
ḳhud ko detā huuñ muskurā ke fareb
dil magar vaqf-e-nauha-ḳhvānī hai
mujh se hans-bol leñ mire sāthī
ab koī din kī zindagānī hai
mausam-e-gul meñ vo jo aan mileñ
ham bhī jāneñ ki rut suhānī hai
be-sabab to nahīñ bahe aañsū
aañsū aañsū meñ ik kahānī hai
ik sarāpā ki ranj-o-yās haiñ ham
dard-e-dil monis-e-javānī hai
muskurā.ūñ maiñ kis tarah 'altāf'
taak meñ daur-e-āsmānī hai
aah duniyā sarā-e-fānī hai
kis qadar muḳhtasar kahānī hai
ḳhud ko detā huñ muskurā ke fareb
dil magar waqf-e-nauha-ḳhwānī hai
mujh se hans-bol leñ mere sāthī
ab koī din kī zindagānī hai
mausam-e-gul meñ wo jo aan mileñ
hum bhī jāneñ ki rut suhānī hai
be-sabab to nahīñ bahe aañsū
aañsū aañsū meñ ek kahānī hai
ek sarāpā ki ranj-o-yās haiñ hum
dard-e-dil monis-e-jawānī hai
muskurāūñ maiñ kis tarah 'altāf'
tak meñ daur-e-āsmānī hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.