aankh uTThi mohabbat ne angDai li dil ka sauda hua chandni raat mein
aankh uTThi mohabbat ne angDai li dil ka sauda hua chandni raat mein
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
aañkh uTThī mohabbat ne añgḌā.ī lī dil kā saudā huā chāñdnī raat meñ
un kī nazroñ ne kuchh aisā jaadū kiyā luT ga.e ham to pahlī mulāqāt meñ
saath apnā vafā meñ na chhūTe kabhī pyaar kī Dor bañdh kar na TuuTe kabhī
chhūT jaa.e zamāna koī ġham nahīñ haath terā rahe bas mere haath meñ
rut hai barsāt kī dekho zid mat karo raat añdherī hai bādal haiñ chhā.e hue
ruk bhī jaao sanam tum ko merī qasam ab kahāñ jāoge aisī barsāt meñ
hai tirī yaad is dil meñ lipTī huī har ghaḌī hai tasavvur tere husn kā
terī ulfat kā pahra lagā hai sanam kaun aa.egā mere ḳhayālāt meñ
jis tarah chāhe vo aazmā le hameñ muntazir haiñ bas un ke ishāre ke ham
muskurā kar 'fanā' vo talab to kareñ jaan bhī apnī de deñge ham to sauġhāt meñ
aankh uTThi mohabbat ne angDai li dil ka sauda hua chandni raat mein
un ki nazron ne kuchh aisa jadu kiya luT gae hum to pahli mulaqat mein
sath apna wafa mein na chhuTe kabhi pyar ki Dor bandh kar na TuTe kabhi
chhuT jae zamana koi gham nahin hath tera rahe bas mere hath mein
rut hai barsat ki dekho zid mat karo raat andheri hai baadal hain chhae hue
ruk bhi jao sanam tum ko meri qasam ab kahan jaoge aisi barsat mein
hai teri yaad is dil mein lipTi hui har ghaDi hai tasawwur tere husn ka
teri ulfat ka pahra laga hai sanam kaun aaega mere KHayalat mein
jis tarah chahe wo aazma le hamein muntazir hain bas un ke ishaare ke hum
muskura kar 'fana' wo talab to karen jaan bhi apni de denge hum to saughat mein
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.