aap baiThe hain baalin pe meri maut ka zor chalta nahin hai
Interesting Fact
नुसरत फ़तेह अली खान के कुछ इज़ाफ़ी अश'आर मोहब्बत की कोई मंज़िल नहीं है मोहब्बत मौज है साहिल नहीं है मेरी अफ़सुर्दगी पर हंसने वाले तेरे पहलू में शायद दिल नहीं है आज हमने युंही ख़ुशी कर ली दिल जला कर ही रोशनी कर ली आते जाते रहा करो साहब! आने जाने में क्यों कमी कर ली डूब कर तेरी नीली आंखों में ग़र्क हमने तो जिंदगी कर ली इक फ़क़त तेरी दोस्ती के लिये सारी दुनिया से दुश्मनी कर ली सर जिसपे न झुक जाए उसे दर नहीं कहते हर दर पर जो झुक जाए उसे सर नहीं कहते क्या तुझको जहाँ वाले सितमगर नहीं कहते? कहते तो हैं लेकिन तेरे मुंह पर नहीं कहते काबे में हर इक सजदे को कहते हैं इ़बादत मयख़ाने में हर जाम को साग़र नहीं कहते काबे में मुसलमाँ को भी कह देते हैं काफ़िर मैयख़ाने में काफ़िर को भी काफ़िर नहीं कहते जो नज़र आर पार हो जाए, वोही दिल का क़रार हो जाए अपनी ज़ुल्फों का डाल दो साया, तीरगी ख़ुश-गवार हो जाए तेरी नज़रों को देख पाए अगर, शैख़ भी मैय-गुसार हो जाए तुझको देखे जो एक नज़र फ़ौरन चाँद भी शर्मसार हो जाए आईना अपने सामने से हटा, ये न हो ख़ुद से प्यार हो जाए मौत किस तरह आए बालीं पर, तू अगर एक बार हो जाए
aap baiThe haiñ bālīñ pe merī maut kā zor chaltā nahīñ hai
maut mujh ko gavārā hai lekin kyā karūñ dam nikaltā nahīñ hai
ye adā ye nazākat marāsim mirā dil tum pe qurbān lekin
kyā sambhāloge tum mere dil ko jab ye āñchal sambhaltā nahīñ hai
mere nāloñ kī sun kar zabāneñ ho ga.ī mom kitnī chaTāneñ
maiñ ne pighlā diyā pattharoñ ko ik tirā dil pighaltā nahīñ hai
shaiḳh-jī kī nasīhat bhī achchhī baat vā'iz kī bhī ḳhuub lekin
jab bhī chhātī haiñ kaalī ghaTā.eñ bin piye kaam chaltā nahīñ hai
dekh le merī mayyat kā manzar log kāñdhā badalte chale haiñ
ek terī bhī Dolī chalī hai koī kāñdhā badaltā nahīñ hai
mai-kade ke sabhī piine vaale laḌkhaḌā kar sambhalte haiñ lekin
terī nazroñ kā jo jaam pī le 'umr-bhar vo sambhaltā nahīñ hai
aap baiThe hain baalin pe meri maut ka zor chalta nahin hai
maut mujh ko gawara hai lekin kya karun dam nikalta nahin hai
ye ada ye nazakat marasim mera dil tum pe qurban lekin
kya sambhaaloge tum mere dil ko jab ye aanchal sambhalta nahin hai
mere nalon ki sun kar zabanen ho gai mom kitni chaTanen
main ne pighla diya pattharon ko ek tera dil pighalta nahin hai
shaiKH-ji ki nasihat bhi achchhi baat wa'iz ki bhi KHub lekin
jab bhi chhati hain kali ghaTaen bin piye kaam chalta nahin hai
dekh le meri mayyat ka manzar log kandha badalte chale hain
ek teri bhi Doli chali hai koi kandha badalta nahin hai
mai-kade ke sabhi pine wale laDkhaDa kar sambhalte hain lekin
teri nazron ka jo jam pi le 'umr-bhar wo sambhalta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.