ārām ke sāthī kyā kyā the jab vaqt paḌā to koī nahīñ
sab dost haiñ apne matlab ke duniyā meñ kisī kā koī nahīñ
qattāl-e-jahāñ mā'shūq jo the suune paḌe haiñ marqad un ke
jahāñ marne vaale lākhoñ the ab rone vaalā koī nahīñ
kal baaġh jo thā phūloñ se bharā itrā.ī huī chaltī thī sabā
ab sumbul-o-gul kā zikr hī kyā ḳhaak uḌtī hai us jā koī nahīñ
aaram ke sathi kya kya the jab waqt paDa to koi nahin
sab dost hain apne matlab ke duniya mein kisi ka koi nahin
qattal-e-jahan ma'shuq jo the sune paDe hain marqad un ke
jahan marne wale lakhon the ab rone wala koi nahin
kal bagh jo tha phulon se bhara itrai hui chalti thi saba
ab sumbul-o-gul ka zikr hi kya KHak uDti hai us ja koi nahin
Videos
This video is playing from YouTube
Haji Mehboob Ali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.