Sufinama

nigah hi se mujhe kuchh pila ke chhoD diya

Aazam Chishti

nigah hi se mujhe kuchh pila ke chhoD diya

Aazam Chishti

MORE BYAazam Chishti

    nigāh se mujhe kuchh pilā ke chhoḌ diyā

    ḳhudī ke putle ko be-ḳhud banā ke chhoḌ diyā

    na uTh sakegā qiyāmat talak ḳhudā qasam

    ki jis ko ne nazar se girā ke chhoḌ diyā

    hamārī āñkhoñ ne zarre bhī chun liye us ke

    tumhār jalve ne jis ko jalā ke chhoḌ diyā

    tirī nigāh sar-mastiyoñ kyā kahnā

    ki mujh ġharīb ko vahshī banā ke chhoḌ diyā

    farishte le ke jahannam ko rahe the magar

    huzūr ne mujhe un se chhuḌā ke chhoḌ diyā

    ḳhudā ke vāste 'āzam' ko dar se duur na kar

    kahegī ḳhalq ki apnā banā ke chhoḌ diyā

    nigah hi se mujhe kuchh pila ke chhoD diya

    KHudi ke putle ko be-KHud bana ke chhoD diya

    na uTh sakega qiyamat talak KHuda ki qasam

    ki jis ko tu ne nazar se gira ke chhoD diya

    hamari aankhon ne zarre bhi chun liye us ke

    tumhaar jalwe ne jis ko jala ke chhoD diya

    teri nigah ki sar-mastiyon ka kya kahna

    ki mujh gharib ko wahshi bana ke chhoD diya

    farishte le ke jahannam ko ja rahe the magar

    huzur ne mujhe un se chhuDa ke chhoD diya

    KHuda ke waste 'azam' ko dar se dur na kar

    kahegi KHalq ki apna bana ke chhoD diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now