shikwa kisi se kya karen be-dad yar ka
shikvā kisī se kyā kareñ be-dād yaar kā
afsāna kyā sunā.eñ dil-e-be-qarār kā
ai ham-nashīñ na pūchh ki muddat ke ba.ad aaj
muñh dekhnā nasīb huā hai bahār kā
ban-ban ke ashk bah ga.e armān hā-e-dil
kaam aa gayā hai ronā shab-e-intizār kā
be-gāna-e-firāq se ye tazkira na chheḌ
ham dil jaloñ se pūchh mazā intizār kā
'āzam' junūñ ne chhīn liye hosh bhī mire
har ik se pūchhtā huuñ pata kū-e-yār kā
shikwa kisi se kya karen be-dad yar ka
afsana kya sunaen dil-e-be-qarar ka
ai ham-nashin na puchh ki muddat ke baad aaj
munh dekhna nasib hua hai bahaar ka
ban-ban ke ashk bah gae arman ha-e-dil
kaam aa gaya hai rona shab-e-intizar ka
be-gana-e-firaq se ye tazkira na chheD
hum dil jalon se puchh maza intizar ka
'azam' junun ne chhin liye hosh bhi mere
har ek se puchhta hun pata ku-e-yar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.