har shaKHs gham-e-hijr ka afsana kahe hai
har shaḳhs ġham-e-hijr kā afsāna kahe hai
rag rag meñ vahī haiñ tirā dīvāna kahe hai
hai bā.is-e-taskīñ vo hī har rañj-o-alam meñ
duniyā jise andāz-e-raqībāna kahe hai
us dil meñ biThā kar but-e-kāfir ko maiñ pūjūñ
kahtā hai koī dil ko to but-ḳhāna kahe hai
jo vasl kā tālib hai to jal ātish-e-ġham meñ
jal kar sar-e-mahfil ye hī parvāna kahe hai
ka.aba hai yahī dil yahī but-ḳhāna hai vaa.iz
dīvāna jise maskan jānāna kahe hai
ye ain-e-haqīqat hai mohabbat meñ ai 'kāvish'
duniyā jise mansūr kā afsāna kahe hai
har shaKHs gham-e-hijr ka afsana kahe hai
rag rag mein wahi hain tera diwana kahe hai
hai bais-e-taskin wo hi har ranj-o-alam mein
duniya jise andaz-e-raqibana kahe hai
us dil mein biTha kar but-e-kafir ko main pujun
kahta hai koi dil ko to but-KHana kahe hai
jo wasl ka talib hai to jal aatish-e-gham mein
jal kar sar-e-mahfil ye hi parwana kahe hai
kaba hai yahi dil yahi but-KHana hai waiz
diwana jise maskan jaanana kahe hai
ye ain-e-haqiqat hai mohabbat mein ai 'kawish'
duniya jise mansur ka afsana kahe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.