din-o-iman se mera rishta koi toD gaya
dīn-o-īmāñ se mirā rishta koī toḌ gayā
silsila apnī mohabbat kā magar joḌ gayā
ik tire ġham ke sivā vādī-e-ulfat meñ sanam
nahīñ qafas chhoḌ gayā dushman jaañ chhoḌ gayā
apne rasta ko maiñ jaatā thā magar jaan jigar
Daal kar tirchhī nazar ziist kā ruḳh moḌ gayā
sach batā.ūñ tumheñ ai zāhido ulfat kā maal
murġh-e-nūrī qafas-e-ḳhāk ko ab chhoḌ gayā
juz mere kuchh nahīñ aatā hai nazar ai 'kāvish'
parda us parda-nasheman kā bhī junūñ toḌ gayā
din-o-iman se mera rishta koi toD gaya
silsila apni mohabbat ka magar joD gaya
ek tere gham ke siwa wadi-e-ulfat mein sanam
nahin qafas chhoD gaya dushman jaan chhoD gaya
apne rasta ko main jata tha magar jaan jigar
Dal kar tirchhi nazar zist ka ruKH moD gaya
sach bataun tumhein ai zahido ulfat ka mal
murgh-e-nuri qafas-e-KHak ko ab chhoD gaya
juz mere kuchh nahin aata hai nazar ai 'kawish'
parda us parda-nasheman ka bhi junun toD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.