un nargisi aankhon ki allah re gahrai
un nargisī āñkhoñ kī allāh re gahrā.ī
Duubī huī kaunain kī hastī bhī nazar aa.ī
parda na rahā terā ai husn hayā-parvar
rag rag meñ mujhe terī tasvīr nazar aa.ī
thā raaz jo vābasta kal tak thā tire dam se
har lamha mere dil meñ lene lagā añgḌā.ī
mardoñ kā ta.alluq to allāh se hai vaa.iz
hai us but-e-kāfir se zindoñ kī shanāsā.ī
kyā Dar unheñ duniyā kā 'kāvish' ho zamāne meñ
jo fātih-e-Khaibar ke kahlāte haiñ shaidā.ī
un nargisi aankhon ki allah re gahrai
Dubi hui kaunain ki hasti bhi nazar aai
parda na raha tera ai husn haya-parwar
rag rag mein mujhe teri taswir nazar aai
tha raaz jo wabasta kal tak tha tere dam se
har lamha mere dil mein lene laga angDai
mardon ka talluq to allah se hai waiz
hai us but-e-kafir se zindon ki shanasai
kya Dar unhen duniya ka 'kawish' ho zamane mein
jo fatih-e-Khaibar ke kahlate hain shaidai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.