baada-kashi hamara baDa kaam kar gai
bāda-kashī hamārā baḌā kaam kar ga.ī
tasvīr-e-yār shīsha-e-dil meñ utar ga.ī
zāhid ulajh ke rah gayā som-o-salāt meñ
apnī nigāh kaun-o-makāñ se guzar ga.ī
dil meñ kisī hasīn ke jalve samā ga.e
apnī nazar se saarī ḳhudā.ī utar ga.ī
manzil pe aake dekhā to ma.alūm ye huā
apnī hī justujū meñ ḳhudā.ī guzar ga.ī
'kāvish' kisī ke ishq kī dīvāngī hameñ
ranj-o-kHushī-o-kHauf se begāna kar ga.ī
baada-kashi hamara baDa kaam kar gai
taswir-e-yar shisha-e-dil mein utar gai
zahid ulajh ke rah gaya som-o-salat mein
apni nigah kaun-o-makan se guzar gai
dil mein kisi hasīn ke jalwe sama gae
apni nazar se sari KHudai utar gai
manzil pe aake dekha to malum ye hua
apni hi justuju mein KHudai guzar gai
'kawish' kisi ke ishq ki diwangi hamein
ranj-o-kHushi-o-kHauf se begana kar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.