dekhne wala ek nahin milta
dekhne vaalā ik nahīñ miltā
aañkh vaale kasīr hote haiñ
jin ko qudrat ne husn baḳhshā ho
qudratan kuchh sharīr hote haiñ
zindagī ke hasīn tarkash meñ
kitne be-rahm tiir hote haiñ
hai ḳhushī bhī 'ajīb shai lekin
ġham baḌe dil-pazīr hote haiñ
ai 'adam ehtiyāt logoñ se
log munkir nakīr hote haiñ
dekhne wala ek nahin milta
aankh wale kasir hote hain
jin ko qudrat ne husn baKHsha ho
qudratan kuchh sharir hote hain
zindagi ke hasin tarkash mein
kitne be-rahm tir hote hain
hai KHushi bhi 'ajib shai lekin
gham baDe dil-pazir hote hain
ai 'adam ehtiyat logon se
log munkir nakir hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.