jashn-e-amad-e-rasul allah hi allah
jashn-e-āmad-e-rasūl allāh hī allāh
biibī aamna ke phuul allāh hī allāh
jab ki sarkār tashrīf laane lage
hūr-o-ġhilmāñ bhī ḳhushiyāñ manāne lage
har taraf nuur kī raushnī chhā ga.ī
mustafā kyā mile zindagī mil ga.ī
ai halīma terī god meñ aa ga.e
donoñ aalam ke rasūl allāh hī allāh
chehra-e-mustafa jabki dikhāyā gayā
chhup ga.e taare aur chāñd sharmā gayā
aamna dekh kar muskurāne lagīñ
havvā mariyam bhī ḳhushiyāñ manāne lagīñ
aamna biibī sab se ye kahne lagīñ
duā ho ga.ī qabūl allāh hī allāh
shādyāne ḳhushī ke bajā.e ga.e
shaad ke naġhme sab ko sunā.e ga.e
har taraf shor salle-alā ho gayā
aaj paidā habīb-e-ḳhudā ho gayā
phir to jibrīl ne bhī ye elaan kiyā
ye ḳhudā ke haiñ rasūl allāh hī allāh
un kā saaya zamīñ par na paayā gayā
nuur se nuur dekho judā na huā
ham ko 'ābid' nabī par baḌā naaz hai
kyā bhalā mere aaqā kā andāz hai
jis ne ruḳh par malī vo shifā pā gayā
ḳhāk-e-taiba terī dhuul allāh hī allāh
jashn-e-amad-e-rasul allah hi allah
bibi aamna ke phul allah hi allah
jab ki sarkar tashrif lane lage
hur-o-ghilman bhi KHushiyan manane lage
har taraf nur ki raushni chha gai
mustafa kya mile zindagi mil gai
ai halima teri god mein aa gae
donon aalam ke rasul allah hi allah
chehra-e-mustafa jabki dikhaya gaya
chhup gae tare aur chand sharma gaya
aamna dekh kar muskurane lagin
hawwa mariyam bhi KHushiyan manane lagin
aamna bibi sab se ye kahne lagin
dua ho gai qabul allah hi allah
shadyane KHushi ke bajae gae
shad ke naghme sab ko sunae gae
har taraf shor salle-ala ho gaya
aaj paida habib-e-KHuda ho gaya
phir to jibril ne bhi ye elan kiya
ye KHuda ke hain rasul allah hi allah
un ka saya zamin par na paya gaya
nur se nur dekho juda na hua
hum ko 'abid' nabi par baDa naz hai
kya bhala mere aaqa ka andaz hai
jis ne ruKH par mali wo shifa pa gaya
KHak-e-taiba teri dhul allah hi allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.