dil ke kahne mein agar hum aa gae
dil ke kahne meñ agar ham aa ga.e
lutfhā-e-ranjish-e-be-jā ga.e
us ne yuuñ dekhā hameñ begāna-vār
ahd-o-paimān-e-vafā yaad aa ga.e
thī hameñ bhī hasrat-e-āsūdgī
rañg-e-mahfil dekh kar sharmā ga.e
jītne vaale ġham-e-ayyām ke
haar kar tā-sāġhar-o-sahbā ga.e
dekhiye kyuuñ kar guzartī hai 'adīb'
shaam ke gesū fazā par chhā ga.e
dil ke kahne mein agar hum aa gae
lutfha-e-ranjish-e-be-ja gae
us ne yun dekha hamein begana-war
ahd-o-paiman-e-wafa yaad aa gae
thi hamein bhi hasrat-e-asudgi
rang-e-mahfil dekh kar sharma gae
jitne wale gham-e-ayyam ke
haar kar ta-saghar-o-sahba gae
dekhiye kyun kar guzarti hai 'adib'
sham ke gesu faza par chha gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.