Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aflāk se aatā hai nāloñ kā jawāb āḳhir

Allama Iqbal

aflāk se aatā hai nāloñ kā jawāb āḳhir

Allama Iqbal

aflāk se aatā hai nāloñ javāb āḳhir

karte haiñ ḳhitāb āḳhir uThte haiñ hijāb āḳhir

ahvāl-e-mohabbat meñ kuchh farq nahīñ aisā

soz o tab-o-tāb avval soz o tab-o-tāb āḳhir

maiñ tujh ko batātā huuñ taqdīr-e-umam kyā hai

shamshīr-o-sināñ avval tā.ūs-o-raubāb āḳhir

mai-ḳhāna-e-europe ke dastūr nirāle haiñ

laate haiñ surūr avval dete haiñ sharāb āḳhir

kyā dabdaba-e-nādir kyā shaukat-e-taimūrī

ho jaate haiñ sab daftar ġharq-e-mai-e-nāb āḳhir

ḳhalvat ghaḌī guzrī jalvat ghaḌī aa.ī

chhuTne ko hai bijlī se āġhosh-e-sahāb āḳhir

thā zabt bahut mushkil is sail-e-ma.ānī

kah Daale qalandar ne asrār-e-kitāb āḳhir

aflāk se aatā hai nāloñ jawāb āḳhir

karte haiñ ḳhitāb āḳhir uThte haiñ hijāb āḳhir

ahwāl-e-mohabbat meñ kuchh farq nahīñ aisā

soz o tab-o-tāb awwal soz o tab-o-tāb āḳhir

maiñ tujh ko batātā huñ taqdīr-e-umam kyā hai

shamshīr-o-sināñ awwal tāūs-o-raubāb āḳhir

mai-ḳhāna-e-europe ke dastūr nirāle haiñ

late haiñ surūr awwal dete haiñ sharāb āḳhir

kyā dabdaba-e-nādir kyā shaukat-e-taimūrī

ho jate haiñ sab daftar ġharq-e-mai-e-nāb āḳhir

ḳhalwat ghaḌī guzrī jalwat ghaḌī aaī

chhuTne ko hai bijlī se āġhosh-e-sahāb āḳhir

thā zabt bahut mushkil is sail-e-maānī

kah Dale qalandar ne asrār-e-kitāb āḳhir

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now