agar yuñ hī ye dil satātā rahegā
agar yuuñ hī ye dil satātā rahegā
to ik din mirā jī hī jaatā rahegā
maiñ jaatā huuñ dil ko tire paas chhoḌe
mirī yaad tujh ko dilātā rahegā
galī se tirī dil ko le to chalā huuñ
maiñ pahuñchūñgā jab tak ye aatā rahegā
jafā se ġharaz imtihān-e-vafā hai
tū kah kab talak āzmātā rahegā
qafas meñ koī tum se ai ham-safīro
ḳhabar gul kī ham ko sunātā rahegā
ḳhafā ho ke ai 'dard' mar to chalā tū
kahāñ tak ġham apnā chhupātā rahegā
agar yuñ hī ye dil satātā rahegā
to ek din mirā jī hī jatā rahegā
maiñ jatā huñ dil ko tere pas chhoḌe
mirī yaad tujh ko dilātā rahegā
galī se tirī dil ko le to chalā huñ
maiñ pahuñchūñgā jab tak ye aatā rahegā
jafā se ġharaz imtihān-e-wafā hai
tū kah kab talak āzmātā rahegā
qafas meñ koī tum se ai ham-safīro
ḳhabar gul kī hum ko sunātā rahegā
ḳhafā ho ke ai 'dard' mar to chalā tū
kahāñ tak ġham apnā chhupātā rahegā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.