ai fitna-e-har-mahfil ai mahshar-e-tanhai
ai fitna-e-har-mahfil ai mahshar-e-tanhā.ī
le phir tirā naam aayā le phir tirī yaad aa.ī
yaañ shauq kā hañgāma vaañ sharm kī tanhā.ī
vaañ sar na uThā un kā yaañ jaan pe ban aa.ī
terī nigah avval dil kā nafas āḳhir
āġhāz-e-shanāsā.ī anjām-e-shakebā.ī
jis tarh tire lab par 'unvān-e-bahār aayā
is shaan se gulshan meñ kis roz bahār aa.ī
tū raaz kā jalva hai maiñ raaz huuñ jalve kā
paidā tirī pinhānī pinhāñ mirī paidā.ī
hoñge na muḳhātab vo ruḳh pher na luuñ kyuuñ maiñ
jaatā na rahe dil se pindār-e-shanāsā.ī
ai fitna-e-har-mahfil ai mahshar-e-tanhai
le phir tera nam aaya le phir teri yaad aai
yan shauq ka hangama wan sharm ki tanhai
wan sar na uTha un ka yan jaan pe ban aai
teri nigah awwal dil ka nafas aaKHir
aaghaz-e-shanasai anjam-e-shakebai
jis tarh tere lab par 'unwan-e-bahaar aaya
is shan se gulshan mein kis roz bahaar aai
tu raaz ka jalwa hai main raaz hun jalwe ka
paida teri pinhani pinhan meri paidai
honge na muKHatab wo ruKH pher na lun kyun main
jata na rahe dil se pindar-e-shanasai
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 128)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.