ai yar na mujhse munh ko chhupa tu aur nahin main aur nahin
ai yar na mujhse munh ko chhupa tu aur nahin main aur nahin
Imdad Ali Ulvi
MORE BYImdad Ali Ulvi
ai yaar na mujh se muñh ko chhupā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
hai shakl terī merā naqsha tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
itlāq-o-taqayyud ke baa.is maiñ tujh se judā tū mujh se judā
jab fahm se ye parda uThā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
maiñ tujh ko ġhair samajhtā thā aur ḳhud ko aur samajhtā thā
par chashm-e-ġhaur se jab dekhā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
sahrā meñ bagūla jo uTThā hai bād-o-kHāk meñ ye ġhauġhā
maiñ tujhmeñ fanā tū mujh meñ baqā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
avval tū hai āḳhir tū hai zāhir tū hai bātin tū hai
maiñ tujh meñ huuñ tū mujh meñ chhupā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
me'rāj-e-nabīñ meñ thī har-dam udnu minnī kī sadā paiham
aa sū-e-maqām-e-au-adnā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
maiñ tālib-e-vasl jo yaar se thā bolā vo ki ḳhud ko dekh zarā
tū maiñ hī to huuñ az sar tā-pā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
'ulvī' ko ze bas thā kHauf-e-ġhinā kahā yaar ne bā-hama lutf-o-atā
kyuuñ Dartā hai aa āġhosh meñ aa tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
ai yar na mujh se munh ko chhupa tu aur nahin main aur nahin
hai shakl teri mera naqsha tu aur nahin main aur nahin
itlaq-o-taqayyud ke bais main tujh se juda tu mujh se juda
jab fahm se ye parda uTha tu aur nahin main aur nahin
main tujh ko ghair samajhta tha aur KHud ko aur samajhta tha
par chashm-e-ghaur se jab dekha tu aur nahin main aur nahin
sahra mein bagula jo uTTha hai baad-o-kHak mein ye ghaugha
main tujhmen fana tu mujh mein baqa tu aur nahin main aur nahin
awwal tu hai aaKHir tu hai zahir tu hai baatin tu hai
main tujh mein hun tu mujh mein chhupa tu aur nahin main aur nahin
me'raj-e-nabin mein thi har-dam udnu minni ki sada paiham
aa su-e-maqam-e-au-adna tu aur nahin main aur nahin
main talib-e-wasl jo yar se tha bola wo ki KHud ko dekh zara
tu main hi to hun az sar ta-pa tu aur nahin main aur nahin
'ulwi' ko ze bas tha kHauf-e-ghina kaha yar ne ba-hama lutf-o-ata
kyun Darta hai aa aaghosh mein aa tu aur nahin main aur nahin
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 335)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.