Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aisa banna sanwarna mubarak tumhein kam se kam itna kahna hamara karo

Fana Bulandshahri

aisa banna sanwarna mubarak tumhein kam se kam itna kahna hamara karo

Fana Bulandshahri

aisā banñā sañvarnā mubārak tumheñ kam se kam itnā kahnā hamārā karo

chāñd sharmā.egā chāñdnī raat meñ yuuñ na zulfoñ ko apnī sañvārā karo

ye tabassum ye aariz ye raushan jabīñ ye adā ye nigāheñ ye zulfeñ hasīñ

ā.īne nazar lag na jaa.e kahīñ jān-e-jāñ apnā sadqa utārā karo

dil to kyā chiiz hai jaan se jā.eñge maut aane se pahle mar jā.eñge

ye adā dekhne vaale luT jā.eñge yuuñ na hañs-hañs ke dilbar ishāra karo

fikr-e-uqbā mastī utar jā.egī tauba TuuTī to qismat sañvar jā.egī

tum ko duniyā meñ jannat nazar aa.egī shaiḳh mai-kade nazāra karo

ḳhūbsūrat ghaTāoñ-bharī raat meñ lutf uThāyā karo aisī barsāt meñ

jaam lekar chhalaktā huā haath meñ mai-kade meñ bhī ik shab guzārā karo

kaam aa.e na mushkil meñ koī yahāñ matlabī dost haiñ matlabī yaar haiñ

is jahāñ meñ nahīñ koī ahl-e-vafā ai 'fanā' is jahāñ se kināra karo

aisa banna sanwarna mubarak tumhein kam se kam itna kahna hamara karo

chand sharmaega chandni raat mein yun na zulfon ko apni sanwara karo

ye tabassum ye aariz ye raushan jabin ye ada ye nigahen ye zulfen hasin

aaine ki nazar lag na jae kahin jaan-e-jaan apna sadqa utara karo

dil to kya chiz hai jaan se jaenge maut aane se pahle hi mar jaenge

ye ada dekhne wale luT jaenge yun na hans-hans ke dilbar ishaara karo

fikr-e-uqba ki masti utar jaegi tauba TuTi to qismat sanwar jaegi

tum ko duniya mein jannat nazar aaegi shaiKH ji mai-kade ka nazara karo

KHubsurat ghaTaon-bhari raat mein lutf uThaya karo aisi barsat mein

jam lekar chhalakta hua hath mein mai-kade mein bhi ek shab guzara karo

kaam aae na mushkil mein koi yahan matlabi dost hain matlabi yar hain

is jahan mein nahin koi ahl-e-wafa ai 'fana' is jahan se kinara karo

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now