masnad-nashin aalam-e-imkan tumhi to ho
masnad-nashīn 'ālam-e-imkāñ tumhī to ho
is anjuman kī sham’-e-farozāñ tumhī to ho
sub.h-e-azal se shām-e-abad tak hai jis kā nuur
vo jalva zār-e-husn daraḳhshāñ tumhī to ho
duniyā-e-hast-o-būd kī zīnat tumhī se hai
donoñ jahāñ ke vālī-o-sultāñ tumhī to ho
tum kyā mile ki daulat-e-īmāñ milī hameñ
īmān kī to ye hai ki īmāñ tumhī to ho
duniyā-o-āḳhirat kā sahārā tumhārī zaat
donoñ jahāñ ke vālī-o-sultāñ tumhī to ho
'aḳhtar' ko be-navā.ī-e-duniyā kī fikr kyā
sāmāñ-tarāz be-sar-o-sāmāñ tumhī to ho
masnad-nashin 'alam-e-imkan tumhi to ho
is anjuman ki sham’-e-farozan tumhi to ho
subh-e-azal se sham-e-abad tak hai jis ka nur
wo jalwa zar-e-husn daraKHshan tumhi to ho
duniya-e-hast-o-bud ki zinat tumhi se hai
donon jahan ke wali-o-sultan tumhi to ho
tum kya mile ki daulat-e-iman mili hamein
iman ki to ye hai ki iman tumhi to ho
duniya-o-aKHirat ka sahaara tumhaari zat
donon jahan ke wali-o-sultan tumhi to ho
'aKHtar' ko be-nawai-e-duniya ki fikr kya
saman-taraaz be-sar-o-saman tumhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.