agar ai nasim-e-sahar tera ho guzar dayar-e-hijaz mein
agar ai nasīm-e-sahar tirā ho guzar dayār-e-hijāz meñ
mirī chashm-e-tar kā salām kahnā huzūr-e-bandā-navāz meñ
tumheñ hadd-e-’aql na pā sakī faqat itnā haal batā sakī
ki tum ek jalva-e-rāz the jo nihāñ hai rañg-e-majāz meñ
na jahāñ meñ rāhat-e-jāñ milī na matā’-e-amn-o-amāñ milī
jo davā-e-dard-e-nihāñ milī to milī bahisht-e-hijāz meñ
'ajab ik surūr sā chhā gayā mirī rūh-o-dil meñ samā gayā
tirā naam naaz se aa gayā mire lab pe jab bhī namāz meñ
karūñ nazr naġhma-e-jāñ-fazā maiñ kahāñ se 'aḳhtar'-e-be-navā
ki sivā-e-nāla-e-dil nahīñ mire dil ke ġham-zada saaz meñ
agar ai nasim-e-sahar tera ho guzar dayar-e-hijaz mein
meri chashm-e-tar ka salam kahna huzur-e-banda-nawaz mein
tumhein hadd-e-’aql na pa saki faqat itna haal bata saki
ki tum ek jalwa-e-raaz the jo nihan hai rang-e-majaz mein
na jahan mein rahat-e-jaan mili na mata’-e-amn-o-aman mili
jo dawa-e-dard-e-nihan mili to mili bahisht-e-hijaz mein
'ajab ek surur sa chha gaya meri ruh-o-dil mein sama gaya
tera nam naz se aa gaya mere lab pe jab bhi namaz mein
karun nazr naghma-e-jaan-faza main kahan se 'aKHtar'-e-be-nawa
ki siwa-e-nala-e-dil nahin mere dil ke gham-zada saz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.