Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ek danish-e-nurani ek danish-e-burhani

Allama Iqbal

ek danish-e-nurani ek danish-e-burhani

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    ik dānish-e-nūrānī ik dānish-e-burhānī

    hai dānish-e-burhānī hairat farāvānī

    is paikar-e-ḳhākī meñ ik shai hai so vo terī

    mere liye mushkil hai is shai nigahbānī

    ab kiyā jo fuġhāñ merī pahuñchī hai sitāroñ tak

    ne sikhā.ī thī mujh ko ye ġhazal-ḳhvānī

    ho naqsh agar bātil takrār se kyā hāsil

    kyā tujh ko ḳhush aatī hai aadam ye arzānī

    mujh ko to sikhā hai afrañg ne zindīqī

    is daur ke mullā haiñ kyuuñ nañg-e-musalmānī

    taqdīr-e-shikan quvvat baaqī hai abhī is meñ

    nādāñ jise kahte haiñ taqdīr zindānī

    tere bhī sanam ḳhāne mere bhī sanam ḳhāne

    donoñ ke sanam ḳhākī donoñ ke sanam faanī

    ek danish-e-nurani ek danish-e-burhani

    hai danish-e-burhani hairat ki farawani

    is paikar-e-KHaki mein ek shai hai so wo teri

    mere liye mushkil hai is shai ki nigahbani

    ab kiya jo fughan meri pahunchi hai sitaron tak

    tu ne hi sikhai thi mujh ko ye ghazal-KHwani

    ho naqsh agar baatil takrar se kya hasil

    kya tujh ko KHush aati hai aadam ki ye arzani

    mujh ko to sikha di hai afrang ne zindiqi

    is daur ke mulla hain kyun nang-e-musalmani

    taqdir-e-shikan quwwat baqi hai abhi is mein

    nadan jise kahte hain taqdir ka zindani

    tere bhi sanam KHane mere bhi sanam KHane

    donon ke sanam KHaki donon ke sanam fani

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now