nikal kar KHanqahon se ada kar rasm-e-shabbiri
nikal kar ḳhānqāhoñ se adā kar rasm-e-shabbīrī
ki faqr-e-kHānqāhī hai faqat andoh-o-dilgīrī
tire dīn-o-adab se aa rahī hai bū-e-rahbānī
yahī hai marne vaalī ummatoñ kā ālam-e-pīrī
shayātīn-e-malūkiyat kī āñkhoñ meñ hai vo jaadū
ki ḳhud naḳhchīr ke dil meñ ho paidā zauq-e-nakHchīrī
che be-parvā guzashtand az navā-e-subhgāh-e-man
ki burd aañ shor-o-mastī az siyah chashmān-e-kashmīrī
nikal kar KHanqahon se ada kar rasm-e-shabbiri
ki faqr-e-kHanqahi hai faqat andoh-o-dilgiri
tere din-o-adab se aa rahi hai bu-e-rahbani
yahi hai marne wali ummaton ka aalam-e-piri
shayatin-e-malukiyat ki aankhon mein hai wo jadu
ki KHud naKHchir ke dil mein ho paida zauq-e-nakHchiri
che be-parwa guzashtand az nawa-e-subhgah-e-man
ki burd aan shor-o-masti az siyah chashman-e-kashmiri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.