Sufinama

KHuda-e-lam-yazal ka dast-e-qudrat tu zaban tu hai

Allama Iqbal

KHuda-e-lam-yazal ka dast-e-qudrat tu zaban tu hai

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    ḳhudā-e-lam-yazal dast-e-qudrat zabāñ hai

    yaqīñ paidā kar ai ġhāfil ke maġhlūb gumāñ to hai

    pare hai charḳh-e-nīlī faam se manzil musalmāñ

    sitāre jis gard-e-rāh hoñ vo kārvāñ hai

    makāñ faanī makīñ aanī azal terā abad terā

    ḳhudā āḳhirī paiġhām hai jāvedāñ hai

    hinā band-e-urūs-e-lāla hai ḳhūn-e-jigar terā

    tirī nisbat barāhīmī hai memār-e-jahāñ hai

    tirī fitrat amiiñ hai mumkināt zindagānī

    jahñ ke jauhar muzmar goyā imtihāñ to hai

    jahān-e-āb-o-gil se ālam-e-jāved ḳhātir

    nubuvvat saath jis ko le ga.ī vo armuġhāñ hai

    ye nukta sarguzasht-e-millat-e-baiza se hai paidā

    ki aqvām-e-zamīn-e-asia pāsbāñ hai

    KHuda-e-lam-yazal ka dast-e-qudrat tu zaban tu hai

    yaqin paida kar ai ghafil ke maghlub guman to hai

    pare hai charKH-e-nili fam se manzil musalman ki

    sitare jis ki gard-e-rah hon wo karwan tu hai

    makan fani makin aani azal tera abad tera

    KHuda ka aaKHiri paigham hai tu jawedan tu hai

    hina band-e-urus-e-lala hai KHun-e-jigar tera

    teri nisbat barahimi hai memar-e-jahan tu hai

    teri fitrat amin hai mumkinat zindagani ki

    jahn ke jauhar muzmar ka goya imtihan to hai

    jahan-e-ab-o-gil se aalam-e-jawed ki KHatir

    nubuwwat sath jis ko le gai wo armughan tu hai

    ye nukta sarguzasht-e-millat-e-baiza se hai paida

    ki aqwam-e-zamin-e-asia ka pasban tu hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now