KHudi ke saz mein hai umr-e-jawedan ka suragh
ḳhudī ke saaz meñ hai umr-e-jāvedāñ kā surāġh
ḳhudī ke soz se raushan haiñ ummatoñ ke charāġh
ye ek baat ki aadam hai sāhib-e-maqsūd
hazār guuna faroġh-o-hazār guuna farāġh
huī na zaaġh meñ paidā buland-parvāzī
ḳharāb kar ga.ī shāhīñ bachche ko sohbat zaaġh
hayā nahīñ hai zamāne kī aañkh meñ baaqī
ḳhudā kare ki javānī tirī rahe be-dāġh
Thahar sakā na kisī ḳhānqāh meñ 'iqbāl'
ki hai zarīf-o-kHush andesha-o-shagufta dimāġh
KHudi ke saz mein hai umr-e-jawedan ka suragh
KHudi ke soz se raushan hain ummaton ke charagh
ye ek baat ki aadam hai sahib-e-maqsud
hazar guna farogh-o-hazar guna faragh
hui na zagh mein paida buland-parwazi
KHarab kar gai shahin bachche ko sohbat zagh
haya nahin hai zamane ki aankh mein baqi
KHuda kare ki jawani teri rahe be-dagh
Thahar saka na kisi KHanqah mein 'iqbaal'
ki hai zarif-o-kHush andesha-o-shagufta dimagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.