Sufinama

phir charagh-e-lala se raushan hue koh-o-daman

Allama Iqbal

phir charagh-e-lala se raushan hue koh-o-daman

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    phir charāġh-e-lāla se raushan hue koh-o-daman

    mujh ko phir naġhmoñ pe uksāne lagā murġh-e-chaman

    phuul haiñ sahrā meñ pariyāñ qatār-andar-qatār

    ūde-ūde nīle-nīle pīle-pīle pairahan

    barg-e-gul par rakh ga.ī shabnam motī bād-e-sub.h

    aur chamkātī hai us motī ko sūraj kiran

    husn-e-be-parvā ko apnī be-naqābī ke liye

    hoñ agar shahroñ se ban pyāre to shahar achchhe ki ban

    apne man meñ Duub kar surāġh-e-zindagī

    agar merā nahīñ bantā na ban apnā to ban

    man duniyā man duniyā soz-o-mastī jazb-o-shauq

    tan duniyā tan duniyā sūd-o-saudā makr-o-fan

    man daulat haath aatī hai to phir jaatī nahīñ

    tan daulat chhāñv hai aatā hai dhan jaatā hai dhan

    man duniyā meñ na paayā maiñ ne afrañgī raaj

    man duniyā meñ na dekhe maiñ ne shaiḳh-o-barhaman

    pānī-pānī kar ga.ī mujh ko qalandar ye baat

    jhukā jab ġhair ke aage na man terā na tan

    phir charagh-e-lala se raushan hue koh-o-daman

    mujh ko phir naghmon pe uksane laga murgh-e-chaman

    phul hain sahra mein ya pariyan qatar-andar-qatar

    ude-ude nile-nile pile-pile pairahan

    barg-e-gul par rakh gai shabnam ka moti baad-e-subh

    aur chamkati hai us moti ko suraj ki kiran

    husn-e-be-parwa ko apni be-naqabi ke liye

    hon agar shahron se ban pyare to shahar achchhe ki ban

    apne man mein Dub kar pa ja suragh-e-zindagi

    tu agar mera nahin banta na ban apna to ban

    man ki duniya man ki duniya soz-o-masti jazb-o-shauq

    tan ki duniya tan ki duniya sud-o-sauda makr-o-fan

    man ki daulat hath aati hai to phir jati nahin

    tan ki daulat chhanw hai aata hai dhan jata hai dhan

    man ki duniya mein na paya main ne afrangi ka raj

    man ki duniya mein na dekhe main ne shaiKH-o-barhaman

    pani-pani kar gai mujh ko qalandar ki ye baat

    tu jhuka jab ghair ke aage na man tera na tan

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now