jahan agarche digar-gun hai qum-be-iznillah
jahāñ agarche digar-gūñ hai qum-be-iznillāh
vahī zamīñ vahī gardūñ hai qum-be-iznillāh
kiyā navā-e-anal-haq ko ātishīñ jis ne
tirī ragoñ meñ vahī ḳhuuñ hai qum-be-iznillāh
ġhamīñ na ho ki parāganda hai shu.ūr terā
firañgiyoñ kā ye afsūñ hai qum-be-iznillāh
jahan agarche digar-gun hai qum-be-iznillah
wahi zamin wahi gardun hai qum-be-iznillah
kiya nawa-e-anal-haq ko aatishin jis ne
teri ragon mein wahi KHun hai qum-be-iznillah
ghamin na ho ki paraganda hai shuur tera
firangiyon ka ye afsun hai qum-be-iznillah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.