nishan yahi hai zamane mein zinda qaumon ka
nishāñ yahī hai zamāne meñ zinda qaumoñ kā
ki sub.h-o-shām badaltī haiñ un kī taqdīreñ
kamāl-e-sidq-o-muravvat hai zindagī un kī
muaaf kartī hai fitrat bhī un kī taqsīreñ
qalandarāna adā.eñ sikandrāna jalāl
ye ummateñ haiñ jahāñ meñ barahna shamshīreñ
ḳhudī se mard-e-kHud-āgāh kā jamāl-o-jalāl
ki ye kitāb hai baaqī tamām tafsīreñ
shikva-e-ī.d kā munkir nahīñ huuñ maiñ lekin
qabūl-e-haq haiñ faqat mard-e-hur kī takbīreñ
hakīm merī navāoñ kā raaz kyā jaane
varā-e-aqal haiñ ahl-e-junūñ kī tadbīreñ
nishan yahi hai zamane mein zinda qaumon ka
ki subh-o-sham badalti hain un ki taqdiren
kamal-e-sidq-o-murawwat hai zindagi un ki
muaf karti hai fitrat bhi un ki taqsiren
qalandarana adaen sikandrana jalal
ye ummaten hain jahan mein barahna shamshiren
KHudi se mard-e-kHud-agah ka jamal-o-jalal
ki ye kitab hai baqi tamam tafsiren
shikwa-e-id ka munkir nahin hun main lekin
qabul-e-haq hain faqat mard-e-hur ki takbiren
hakim meri nawaon ka raaz kya jaane
wara-e-aqal hain ahl-e-junun ki tadbiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.