Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

bahr-e-hasti koi sarab nahin

Altaf Mashhadi

bahr-e-hasti koi sarab nahin

Altaf Mashhadi

MORE BYAltaf Mashhadi

    bahr-e-hastī koī sarāb nahīñ

    zindagī zindagī hai ḳhvāb nahīñ

    aah insān jis āñkhoñ par

    apnā anjām be-naqāb nahīñ

    ek ḳhurshīd ruḳh zulfoñ

    raat ke paas kuchh javāb nahīñ

    zindagī dard se huī mahrūm

    mai-kada hai magar sharāb nahīñ

    mutrib-e-vaqt tere hāthoñ meñ

    kyuuñ hai talvār aur rabāb nahii.

    aadmī aadmī rāziq hai

    nazm-e-ālam magar ḳharāb nahīñ

    haa.e 'altāf' vo hazīñ rāteñ

    jin qismat meñ māhtāb nahii.

    bahr-e-hasti koi sarab nahin

    zindagi zindagi hai KHwab nahin

    aah insan jis ki aankhon par

    apna anjam be-naqab nahin

    ek KHurshid ruKH ki zulfon ka

    raat ke pas kuchh jawab nahin

    zindagi dard se hui mahrum

    mai-kada hai magar sharab nahin

    mutrib-e-waqt tere hathon mein

    kyun hai talwar aur rabab nahi

    aadmi aadmi ka raaziq hai

    nazm-e-alam magar KHarab nahin

    hae 'altaf' wo hazin raaten

    jin ki qismat mein mahtab nahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now