sarw-e-KHiraman sarmast rahi
sarv-e-ḳhirāmāñ sarmast raahī
har naqsh-e-pā qābil-e-sajda-gāhī
nāzuk-ḳhirāmī jaadū nigāhī
qadmoñ pe un ke qurbān-e-shāhī
vus.at-e-dāmāñ zill-e-ilāhī
āġhosh-e-rahmat 'ālam-panāhī
ishva-girah hai yā ki qayāmat
raqsāñ hai 'ālam tauba ilāhī
qismat hai achchhī saudā hai achchhā
un kī adā.eñ merī tabāhī
braham nazar se āfāq braham
sākin hai anjum sozāñ hai maahī
mujh meñ samāyā hai tū harf jaise
zāhir hai sūrat bātin syāhī
mahshar meñ hogī sāmne un ke
'uzr-e-mohabbat har 'uzr-ḳhvāhī
tirchhī nigāheñ chilman meñ ġhamze
bhātī 'nizāmī' ko hai kaj-kulāhī
sarw-e-KHiraman sarmast rahi
har naqsh-e-pa qabil-e-sajda-gahi
nazuk-KHirami jadu nigahi
qadmon pe un ke qurban-e-shahi
wusat-e-daman zill-e-ilahi
aaghosh-e-rahmat 'alam-panahi
ishwa-girah hai ya ki qayamat
raqsan hai 'alam tauba ilahi
qismat hai achchhi sauda hai achchha
un ki adaen meri tabahi
braham nazar se aafaq braham
sakin hai anjum sozan hai mahi
mujh mein samaya hai tu harf jaise
zahir hai surat baatin syahi
mahshar mein hogi samne un ke
'uzr-e-mohabbat har 'uzr-KHwahi
tirchhi nigahen chilman mein ghamze
bhati 'nizami' ko hai kaj-kulahi
- Book : Pyam-e-Ishq (Pg. 197)
- Publication : Khadim-e-Aastana Baitul-Amaan, Ganj Shari, Mughalpura, Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.