Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

arz-o-samā kahāñ tirī wusat ko pā sake

Khwaja Meer Dard

arz-o-samā kahāñ tirī wusat ko pā sake

Khwaja Meer Dard

arz-o-samā kahāñ tirī vus.at ko sake

merā dil hai vo ki jahāñ samā sake

vahdat meñ terī harf duī na aa sake

ā.īna kyā majāl tujhe muñh dikhā sake

maiñ vo fatāda huuñ ki baġhair-az-fanā mujhe

naqsh-e-qadam tarah na koī uThā sake

qāsid nahīñ ye kaam tirā apnī raah le

us payām dil ke sivā kaun sake

ġhāfil ḳhudā yaad pe mat bhuul zīnhār

apne ta.iiñ bhulā de agar bhulā sake

yā-rab ye kyā tilism hai idrāk-o-fahm yaañ

dauḌe hazār aap se bāhar na sake

go bahs kar ke baat bi.Thā.ī bhī kyā husūl

dil se uThā ġhilāf agar uThā sake

itfā-e-nār-e-ishq na ho āb-e-ashk se

ye aag vo nahīñ jise paanī bujhā sake

mast-e-sharāb-e-ishq vo be-ḳhud hai jis ko hashr

ai 'dard' chāhe laa.e ba-ḳhud par na sake

arz-o-samā kahāñ tirī wusat ko sake

merā dil hai wo ki jahāñ samā sake

wahdat meñ terī harf duī na aa sake

āīna kyā majāl tujhe muñh dikhā sake

maiñ wo fatāda huñ ki baġhair-az-fanā mujhe

naqsh-e-qadam tarah na koī uThā sake

qāsid nahīñ ye kaam tirā apnī rah le

us payām dil ke siwā kaun sake

ġhāfil ḳhudā yaad pe mat bhul zīnhār

apne taiñ bhulā de agar bhulā sake

yā-rab ye kyā tilism hai idrāk-o-fahm yañ

dauḌe hazār aap se bāhar na sake

go bahs kar ke baat biThāī bhī kyā husūl

dil se uThā ġhilāf agar uThā sake

itfā-e-nār-e-ishq na ho āb-e-ashk se

ye aag wo nahīñ jise panī bujhā sake

mast-e-sharāb-e-ishq wo be-ḳhud hai jis ko hashr

ai 'dard' chāhe lae ba-ḳhud par na sake

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now