mehndi mal ke mera tark-e-sitam ijad aaya
mehñdī mal ke mirā tark-e-sitam ījād aayā
ḳhuuñ bahā haath meñ letā huā jallād aayā
bāġhbāñ aayā gulistāñ meñ na sayyād aayā
jo koī aayā mirī jaan ko jallād aayā
bā'd-e-marg aa.ī lab-e-gor farīdoñ se sadā
chain ab dāman-e-mādar kā hameñ yaad aayā
maiñ vo dīvāna huuñ rag-rag meñ chubhā nashtar-e-ġham
fasd bhī kholne aayā to ye fassād aayā
koh-o-sahrā kī taraf ham jo 'qalaq' jā nikle
qais-o-farhād lage kahne ki ustād aayā
mehndi mal ke mera tark-e-sitam ijad aaya
KHun baha hath mein leta hua jallad aaya
baghban aaya gulistan mein na sayyaad aaya
jo koi aaya meri jaan ko jallad aaya
ba'd-e-marg aai lab-e-gor faridon se sada
chain ab daman-e-madar ka hamein yaad aaya
main wo diwana hun rag-rag mein chubha nashtar-e-gham
fasd bhi kholne aaya to ye fassad aaya
koh-o-sahra ki taraf hum jo 'qalaq' ja nikle
qais-o-farhad lage kahne ki ustad aaya
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.