ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
adā se dekh lo jaatā rahe gila dil kā
bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil kā
vo zulm karte haiñ mujh par to log kahte haiñ
ḳhudā bure se na Daale mu'āmala dil kā
hazār fasl-e-gul aa.e junūñ vo josh kahāñ
gayā shabāb ke hamrāh valvala dil kā
bahār aate hī kunj-e-qafas nasīb huā
hazār haif ki niklā na hausla dil kā
ḳhudā hī ḳhair kare aaj rañg-e-be-Dhab hai
bhaTak rahā hai ka.ī din se aabla dil kā
phirā jo kūcha-e-qātil se koī pūchheñge
sunā hai luT gayā raste meñ qāfila dil kā
ḳhudā ke sāmne apnā hai ai 'qalaq' insāf
butoñ se hashr meñ hogā mu'āmala dil kā
ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
wo zulm karte hain mujh par to log kahte hain
KHuda bure se na Dale mu'amala dil ka
hazar fasl-e-gul aae junun wo josh kahan
gaya shabab ke hamrah walwala dil ka
bahaar aate hi kunj-e-qafas nasib hua
hazar haif ki nikla na hausla dil ka
KHuda hi KHair kare aaj rang-e-be-Dhab hai
bhaTak raha hai kai din se aabla dil ka
phira jo kucha-e-qatil se koi puchhenge
suna hai luT gaya raste mein qafila dil ka
KHuda ke samne apna hai ai 'qalaq' insaf
buton se hashr mein hoga mu'amala dil ka
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.