adna sa ye hairat ka tamasha nazar aaya
adnā sā ye hairat kā tamāshā nazar aayā
jo thā pas-e-parda sar-e-parda nazar aayā
phir maiñ nazar aayā na tamāsha nazar aayā
jab tū nazar aayā mujhe tanhā nazar aayā
allāh re dīvāngī-e-shauq kā 'ālam
ik raqs meñ har zarra sahrā nazar aayā
uThe 'ajab andāz se vo josh-e-ġhazab se
chaḌhtā huā ik husn kā dariyā nazar aayā
kis darja tirā husn bhī āshob-e-jahāñ hai
jis zarre ko dekhā vo taḌaptā nazar aayā
ab ḳhud tirā jalva jo dikhā de vo dikhā de
ye dīda-e-bianā to tamāsha nazar aayā
thā lutf-e-junūñ dīda-e-ḳhūñ nāba-fishāñ se
phūloñ se bharā dāman-e-sahrā nazar aayā
adna sa ye hairat ka tamasha nazar aaya
jo tha pas-e-parda sar-e-parda nazar aaya
phir main nazar aaya na tamasha nazar aaya
jab tu nazar aaya mujhe tanha nazar aaya
allah re diwangi-e-shauq ka 'alam
ek raqs mein har zarra sahra nazar aaya
uThe 'ajab andaz se wo josh-e-ghazab se
chaDhta hua ek husn ka dariya nazar aaya
kis darja tera husn bhi aashob-e-jahan hai
jis zarre ko dekha wo taDapta nazar aaya
ab KHud tera jalwa jo dikha de wo dikha de
ye dida-e-biana to tamasha nazar aaya
tha lutf-e-junun dida-e-KHun naba-fishan se
phulon se bhara daman-e-sahra nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.