avval-e-shab vo bazm kī raunaq sham.a bhī thī parvāna bhī
raat ke āḳhir hote hote ḳhatm thā ye afsāna bhī
qaid ko toḌ ke niklā jab maiñ uTh ke bagūle saath hue
dasht-e-’adam tak jañgal-jañgal bhaag chalā vīrāna bhī
haath se kis ne sāġhar paTkā mausam kī be-kaifī par
itnā barsā TuuT ke bādal Duub chalā mai-ḳhāna bhī
ek laggī ke do haiñ asar aur donoñ hasb-e-marātib haiñ
lau jo lagā.e sham.a khaḌī hai raqs meñ hai parvāna bhī
donoñ jaulāñ-gāh-e-junūñ haiñ bastī kyā vīrāna hai
uTh ke chalā jab koī bagūlā dauḌ paḌā vīrāna bhī
ġhunche chup haiñ gul haiñ havā par kis se kahiye jī kā haal
ḳhāk-nashīñ ik sabza hai so apnā bhī begāna bhī
husn-o-'ishq kī laag meñ aksar chheḌ udhar se hotī hai
sham.a kā sho.ala jab lahrāyā uḌ ke chalā parvāna bhī
ḳhuun hī kī shirkat vo na kyuuñ ho shirkat chiiz hai jhagḌe kī
apnoñ se vo dekh rahā huuñ jo na kare begānā bhī
duur masarrat 'ārzū' apnā kaisā zalzala āgīñ thā
haath se muñh tak āte-āte chhūT paḌā paimāna bhī
awwal-e-shab wo bazm ki raunaq shama bhi thi parwana bhi
raat ke aaKHir hote hote KHatm tha ye afsana bhi
qaid ko toD ke nikla jab main uTh ke bagule sath hue
dasht-e-’adam tak jangal-jangal bhag chala virana bhi
hath se kis ne saghar paTka mausam ki be-kaifi par
itna barsa TuT ke baadal Dub chala mai-KHana bhi
ek laggi ke do hain asar aur donon hasb-e-maraatib hain
lau jo lagae shama khaDi hai raqs mein hai parwana bhi
donon jaulan-gah-e-junun hain basti kya virana hai
uTh ke chala jab koi bagula dauD paDa virana bhi
ghunche chup hain gul hain hawa par kis se kahiye ji ka haal
KHak-nashin ek sabza hai so apna bhi begana bhi
husn-o-'ishq ki lag mein aksar chheD udhar se hoti hai
shama ka shoala jab lahraya uD ke chala parwana bhi
KHun hi ki shirkat wo na kyun ho shirkat chiz hai jhagDe ki
apnon se wo dekh raha hun jo na kare begana bhi
dur masarrat 'arzu' apna kaisa zalzala aagin tha
hath se munh tak aate-ate chhuT paDa paimana bhi
Videos
This video is playing from YouTube
Unknown
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.