Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

use kya paoge pane ki KHud tadbir ulTi hai

Azizuddin Rizwan Qadri

use kya paoge pane ki KHud tadbir ulTi hai

Azizuddin Rizwan Qadri

MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri

    use kyā pāoge paane ḳhud tadbīr ulTī hai

    shikārī kamāñ meñ dekh lo ḳhud tiir ulTī hai

    ḳhudā se ham nahīñ milte ḳhudā vāloñ se milte haiñ

    hamāre pyaar karne har ik tadbīr ulTī hai

    na paḌh sakte na likh sakte sunā sakte na sun sakte

    kitāb-e-mā'rifat kyā kaheñ tahrīr ulTī hai

    bajā hai qaul ye 'iqbāl' jo ḳhud pe biitī hai

    nigāh-e-mard-e-momin meñ mirī taqdīr ulTī hai

    ye dañggal mā'rifat hai sadāqat kaam aatī hai

    laḌegā kyā vo jis ke haath meñ shamshīr ulTī hai

    vahāñ dozaḳh bhī hai jannat bhī hai inkār kis ko hai

    ye aisā ḳhvāb hai jis ḳhvāb tā'bīr ulTī hai

    jo galiyāñ un ke ghar haiñ baḌī pechīda galiyāñ haiñ

    magar jo ghar hai un ghar vo tā’mīr ulTī hai

    alaf kyā kareñ tahqīq ham vo ek hai 'rizvāñ'

    na ye lakīr sīdhī hai na ye lakīr ulTī hai

    use kya paoge pane ki KHud tadbir ulTi hai

    shikari ki kaman mein dekh lo KHud tir ulTi hai

    KHuda se hum nahin milte KHuda walon se milte hain

    hamare pyar karne ki har ek tadbir ulTi hai

    na paDh sakte na likh sakte suna sakte na sun sakte

    kitab-e-ma'rifat ki kya kahen tahrir ulTi hai

    baja hai qaul ye 'iqbaal' ka jo KHud pe biti hai

    nigah-e-mard-e-momin mein meri taqdir ulTi hai

    ye danggal ma'rifat ka hai sadaqat kaam aati hai

    laDega kya wo jis ke hath mein shamshir ulTi hai

    wahan dozaKH bhi hai jannat bhi hai inkar kis ko hai

    ye aisa KHwab hai jis KHwab ki ta'bir ulTi hai

    jo galiyan un ke ghar ki hain baDi pechida galiyan hain

    magar jo ghar hai un ka ghar ki wo ta’mir ulTi hai

    alaf kya karen tahqiq hum wo ek hai 'rizwan'

    na ye lakir sidhi hai na ye lakir ulTi hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now