bas-ki dushwār hai har kaam kā āsāñ honā
bas-ki dushvār hai har kaam kā āsāñ honā
aadmī ko bhī mayassar nahīñ insāñ honā
girya chāhe hai ḳharābī mire kāshāne kī
dar o dīvār se Tapke hai bayābāñ honā
vā-e-dīvāngi-e-shauq ki har dam mujh ko
aap jaanā udhar aur aap hī hairāñ honā
jalva az-bas-ki taqāzā-e-nigah kartā hai
jauhar-e-ā.ina bhī chāhe hai mizhgāñ honā
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannā mat pūchh
īd-e-nazzāra hai shamshīr kā uryāñ honā
le ga.e ḳhaak meñ ham dāġh-e-tamannā-e-nashāt
tū ho aur aap ba-sad-rañg-e-gulistāñ honā
ishrat-e-pāra-e-dil zaḳhm-e-tamannā khānā
lazzat-e-rīsh-e-jigar ġharq-e-namak-dāñ honā
kī mire qatl ke ba.ad us ne jafā se tauba
haa.e us zūd-pashīmāñ kā pashemāñ honā
haif us chaar girah kapḌe kī qismat 'ġhālib'
jis kī qismat meñ ho āshiq kā garebāñ honā
bas-ki dushwār hai har kaam kā āsāñ honā
aadmī ko bhī mayassar nahīñ insāñ honā
girya chāhe hai ḳharābī mere kāshāne kī
dar o dīwār se Tapke hai bayābāñ honā
wā-e-dīwāngi-e-shauq ki har dam mujh ko
aap jaanā udhar aur aap hī hairāñ honā
jalwa az-bas-ki taqāzā-e-nigah kartā hai
jauhar-e-āina bhī chāhe hai mizhgāñ honā
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannā mat pūchh
īd-e-nazzāra hai shamshīr kā uryāñ honā
le gae ḳhak meñ hum dāġh-e-tamannā-e-nashāt
tū ho aur aap ba-sad-rañg-e-gulistāñ honā
ishrat-e-pāra-e-dil zaḳhm-e-tamannā khānā
lazzat-e-rīsh-e-jigar ġharq-e-namak-dāñ honā
kī mere qatl ke baad us ne jafā se tauba
hae us zūd-pashīmāñ kā pashemāñ honā
haif us chaar girah kapḌe kī qismat 'ġhālib'
jis kī qismat meñ ho āshiq kā garebāñ honā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.