be-fikr ji raha hun har ek etibar se
be-fikr jī rahā huuñ har ik e'tibār se
nisbat bhī kaisī chiiz hai dāmāñ yaar se
dāman rafū karūñ ki garebāñ rafū karūñ
josh-e-junūñ meñ kis ko siyūñ kis ke taar se
me.arāj bandagī kā vahī to maqām hai
ho rābta jabīñ ko jahāñ paa.e yaar se
duniyā samajh rahī hai ki ham piir ho ga.e
ḳham hoga.ī kamar jo gunāhoñ ke baar se
ai banda-e-ḳhudā tirā māhaul kuchh bhī ho
māyūs kyuuñ hai rahmat-e-parvardigār se
apnī ḳhushī se tark-e-tamannā bhī kyā karūñ
Takrāv chāhtā nahīñ manshā-e-yār se
'kāmil' sukūn maut hai kyuuñ maut māñgiye
apnī to zindagī hai dil-e-be-qarār se
be-fikr ji raha hun har ek e'tibar se
nisbat bhi kaisi chiz hai daman yar se
daman rafu karun ki gareban rafu karun
josh-e-junun mein kis ko siyun kis ke tar se
mearaj bandagi ka wahi to maqam hai
ho rabta jabin ko jahan pae yar se
duniya samajh rahi hai ki hum pir ho gae
KHam hogai kamar jo gunahon ke bar se
ai banda-e-KHuda tera mahaul kuchh bhi ho
mayus kyun hai rahmat-e-parwardigar se
apni KHushi se tark-e-tamanna bhi kya karun
Takraw chahta nahin mansha-e-yar se
'kaamil' sukun maut hai kyun maut mangiye
apni to zindagi hai dil-e-be-qarar se
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 252)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.