mai-kade tere teri masjid sanam-KHana tera
mai-kade tere tirī masjid sanam-ḳhāna tirā
yaar har ghar tirā har ghar meñ kāshāna tirā
ye bhī ik e.ajāz hai ai pīr-e-mai-ḳhāna tirā
bazm meñ be-pāñv ke chaltā hai paimāna tirā
ham balā-noshoñ kī himmat ko to ai saaqī na pūchh
nashsha meñ sar par uThā lete haiñ mai-ḳhāna tirā
be-ḳhabar hone pe bhī hai saare a.alam kī ḳhabar
zāhid-e-hushyār se achchhā hai mastāna tirā
ye mile qismat hai to us ke sivā kyā chāhiye
to ho saaqī mai-kada ho aur mastāna tirā
sāqiyā jaarī rahe yūñhī sabīl-e-mai-kashī
tā abad yuuñ hī rahe ābād mai-kHāna tirā
tujh ko saudā-e-mohabbat maul le kis kī majāl
sunte haiñ ham jān-o-dil hotā hai bai.āna tirā
ham musāfir haiñ to muñh taktā hai kyā pīr-e-muġhāñ
bas chale to dil meñ rakh le jaa.eñ mai-ḳhāna tirā
jis ko dekhā tujh pe marne ke liye tayyār hai
maiñ hī kyā ai sha'm-o-ālam hai parvāna tirā
pahle 'bedam' kī tarah koī garebān chaak ho
shauq se phir jalva dekhe be-hijābāna tirā
mai-kade tere teri masjid sanam-KHana tera
yar har ghar tera har ghar mein kashana tera
ye bhi ek eajaz hai ai pir-e-mai-KHana tera
bazm mein be-panw ke chalta hai paimana tera
hum bala-noshon ki himmat ko to ai saqi na puchh
nashsha mein sar par uTha lete hain mai-KHana tera
be-KHabar hone pe bhi hai sare aalam ki KHabar
zahid-e-hushyar se achchha hai mastana tera
ye mile qismat hai to us ke siwa kya chahiye
to ho saqi mai-kada ho aur mastana tera
saqiya jari rahe yunhi sabil-e-mai-kashi
ta abad yun hi rahe aabaad mai-kHana tera
tujh ko sauda-e-mohabbat maul le kis ki majal
sunte hain hum jaan-o-dil hota hai baiana tera
hum musafir hain to munh takta hai kya pir-e-mughan
bas chale to dil mein rakh le jaen mai-KHana tera
jis ko dekha tujh pe marne ke liye tayyar hai
main hi kya ai sha'm-o-alam hai parwana tera
pahle 'bedam' ki tarah koi gareban chaak ho
shauq se phir jalwa dekhe be-hijabana tera
- Book : Kulliyat-e-Bedam (Pg. 387)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.