Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nai shan se hua jalwa-gar wo jahan pe jalwa-kunan hua

Bedam Shah Warsi

nai shan se hua jalwa-gar wo jahan pe jalwa-kunan hua

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    na.ī shaan se huā jalva-gar vo jahāñ pe jalva-kunāñ huā

    kahīñ be-gumān-o-gumāñ banā kahīñ be-nishān-o-nishāñ huā

    kahīñ ḳhair-o-shar kahīñ bul-bashar kahīñ rāh-rau kahīñ rāhbar

    kahīñ aap apnā yaqīñ banā kahīñ aap apnā gumāñ huā

    kahīñ rabbe-arenī sadā kahīñ lan-tarānī sunā gayā

    jo nihāñ huā to nihāñ huā jo ’ayāñ huā to ’ayāñ huā

    gah marīz-o-marz masīh ban vahī chāra-sāz-e-davā banā

    kahīñ dil banā kahīñ dilrubā kahīñ apnā dard-e-nihāñ huā

    kahīñ ban ke vāris-e-panjtan banā aap ‘bedam’-e-kHasta-tan

    kahīñ banda-e-be-daram banā kahīñ kHāliq-e-do-jahāñ huā

    nai shan se hua jalwa-gar wo jahan pe jalwa-kunan hua

    kahin be-guman-o-guman bana kahin be-nishan-o-nishan hua

    kahin KHair-o-shar kahin bul-bashar kahin rah-rau kahin rahbar

    kahin aap apna yaqin bana kahin aap apna guman hua

    kahin rabbe-areni ki di sada kahin lan-tarani suna gaya

    jo nihan hua to nihan hua jo ’ayan hua to ’ayan hua

    gah mariz-o-marz masih ban wahi chaara-saz-e-dawa bana

    kahin dil bana kahin dilruba kahin apna dard-e-nihan hua

    kahin ban ke waris-e-panjtan bana aap ‘bedam’-e-kHasta-tan

    kahin banda-e-be-daram bana kahin kHaliq-e-do-jahan hua

    Source :
    • Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 5)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now