zarā aur muskurā luuñ dil-o-jāñ shikār-e-ġham haiñ
ki masarratoñ ke lamhe merī zindagī meñ kam haiñ
mere 'azm ko na bhūlo jo baḌhūñ to do qadam haiñ
zarā fāsle baḌhā lo ki ye fāsle to kam haiñ
to kahāñ se chhup sakegā mirī dāstāñ meñ shāmil
tirī abaruoñ ke bal haiñ tirī gesuoñ ke ḳham haiñ
tire sāmne bhī jā kar lab-e-mudda'ā na kholā
vahī ik gadā jahāñ hai vahī ik faqīr ham haiñ
zara aur muskura lun dil-o-jaan shikar-e-gham hain
ki masarraton ke lamhe meri zindagi mein kam hain
mere 'azm ko na bhulo jo baDhun to do qadam hain
zara fasle baDha lo ki ye fasle to kam hain
to kahan se chhup sakega meri dastan mein shamil
teri abaruon ke bal hain teri gesuon ke KHam hain
tere samne bhi ja kar lab-e-mudda'a na khola
wahi ek gada jahan hai wahi ek faqir hum hain
Videos
This video is playing from YouTube
Behzad Lakhnavi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.