na to tum haram se pūchho na to us galī se pūchho
maiñ kahāñ-kahāñ gayā huuñ merī rah-ravī se pūchho
jahāñ sar jhukā diyā hai vahīñ naqsh ban gayā huuñ
merī hosh-mandiyoñ ko merī be-ḳhudī se pūchho
ye jahāñ tū be-ḳhabar hai ye jahāñ tū kam-nazar hai
mirā haal pūchhnā hai to kabhī mujhī se pūchho
na to tum haram se puchho na to us gali se puchho
main kahan-kahan gaya hun meri rah-rawi se puchho
jahan sar jhuka diya hai wahin naqsh ban gaya hun
meri hosh-mandiyon ko meri be-KHudi se puchho
ye jahan tu be-KHabar hai ye jahan tu kam-nazar hai
mera haal puchhna hai to kabhi mujhi se puchho
Videos
This video is playing from YouTube
Lutfullah Khan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.