tu ne apna bana kar nazar pher li mere dil ka sukun na-gahan luT gaya

tu ne apna bana kar nazar pher li mere dil ka sukun na-gahan luT gaya
Anwar Firozpuri
MORE BYAnwar Firozpuri
tū ne apnā banā kar nazar pher lī mere dil kā sukūñ nā-gahāñ luT gayā
mujh ko luuTā tire 'ishq ne jān-e-jāñ maiñ tire 'ishq meñ jān-e-jāñ luT gayā
chand tinke faqat merī jāgīr the vo bhī bād-e-ḳhizāñ luuT kar le ga.ī
maiñ ne dekhā na fasl-e-bahārī kā muñh maiñ qafas meñ rahā āshiyāñ luT gayā
maiñ ne luTne se pahle ye sochā ki maiñ raaz kī baat hī dil se kah kar laTūñ
raaz kī baat to rah ga.ī raaz meñ mujh se pahle merā rāz-dāñ luT gayā
dil merā 'ishq-bāzī meñ anjān thā aa gayā ik but-e-bevafā pe yūñhī
dil ne sochā na samjhā na pahchān kī us ko luTnā kahāñ thā kahāñ luT gayā
maiñ ne ḳhud ho ke luTnā gavārā kiyā samjhā terī ḳhushī ko maiñ apnī ḳhushī
maiñ ne tere ishāroñ kā rakkhā bharam tū ne chāhā jahāñ maiñ vahāñ luT gayā
husn vāloñ ne luuTā kuchh is vaar se hosh jaate rahe aabrū chhin ga.ī
mere luTne kā 'ālam na kuchh pochhiye maiñ sar-e-kū-e-husn-e-butāñ luT gayā
rah gayā mere luTne kā zinda nasha dhuum merī zamāne meñ har sū machī
vo jagah yādgār-e-mohabbat banī maiñ mohabbat kī ḳhātir jahāñ luT gayā
chashm-e-sāqī ne luuTā pilā ke nasha kufr-o-īmāñ kī sudh-budh na mujh ko rahī
maiñ huuñ 'anvar' vo rind-e-ḳharābāt jo ka.aba-o-dair ke darmiyāñ luT gayā
tu ne apna bana kar nazar pher li mere dil ka sukun na-gahan luT gaya
mujh ko luTa tere 'ishq ne jaan-e-jaan main tere 'ishq mein jaan-e-jaan luT gaya
chand tinke faqat meri jagir the wo bhi baad-e-KHizan luT kar le gai
main ne dekha na fasl-e-bahaari ka munh main qafas mein raha aashiyan luT gaya
main ne luTne se pahle ye socha ki main raaz ki baat hi dil se kah kar laTun
raaz ki baat to rah gai raaz mein mujh se pahle mera raaz-dan luT gaya
dil mera 'ishq-bazi mein anjaan tha aa gaya ek but-e-bewafa pe yunhi
dil ne socha na samjha na pahchan ki us ko luTna kahan tha kahan luT gaya
main ne KHud ho ke luTna gawara kiya samjha teri KHushi ko main apni KHushi
main ne tere ishaaron ka rakkha bharam tu ne chaha jahan main wahan luT gaya
husn walon ne luTa kuchh is war se hosh jate rahe aabru chhin gai
mere luTne ka 'alam na kuchh pochhiye main sar-e-ku-e-husn-e-butan luT gaya
rah gaya mere luTne ka zinda nasha dhum meri zamane mein har su machi
wo jagah yaadgar-e-mohabbat bani main mohabbat ki KHatir jahan luT gaya
chashm-e-saqi ne luTa pila ke nasha kufr-o-iman ki sudh-budh na mujh ko rahi
main hun 'anwar' wo rind-e-KHarabaat jo kaba-o-dair ke darmiyan luT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.