aadam ka but bana ke us mein sama gaya hun
Interesting Fact
بیاض توقیر علی خاں قوال (دیپال پور)
aadam kā but banā ke us meñ samā gayā huuñ
vaise bhī maiñ ḳhudā thā aise bhī maiñ ḳhudā huuñ
ḳhud maiñ ne hī batāyā vo raaz kuntu-kanzan
ab aadmī kī sūrat jalva-numā huā huuñ
kā'ba kalīsā mandir mujhe DhūñDne ko jaa.eñ
ġhāfil samajh rahe haiñ koī chiiz gum-shuda huuñ
pahle maiñ lā-makāñ thā ab huuñ makāñ vaalā
aadam merā makāñ hai maiñ us meñ rahā karatā huuñ
taḳhlīq merī aadam pahchān merī aadam
ye kis tarah kahūñgā aadam se maiñ judā huuñ
aadam ko ḳhud hī maiñ ne 'iqbāl' hai ye baḳhshā
ghabrāo na fanā se maiñ ḳhud tirī baqā huuñ
aadam ka but bana ke us mein sama gaya hun
waise bhi main KHuda tha aise bhi main KHuda hun
KHud main ne hi bataya wo raaz kuntu-kanzan
ab aadmi ki surat jalwa-numa hua hun
ka'ba kalisa mandir mujhe DhunDne ko jaen
ghafil samajh rahe hain koi chiz gum-shuda hun
pahle main la-makan tha ab hun makan wala
aadam mera makan hai main us mein raha karata hun
taKHliq meri aadam pahchan meri aadam
ye kis tarah kahunga aadam se main juda hun
aadam ko KHud hi main ne 'iqbaal' hai ye baKHsha
ghabrao na fana se main KHud teri baqa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.