tumko gar KHud se juda samjhun to main kafir hun
tum ko gar ḳhud se judā samjhūñ to maiñ kāfir huuñ
maiñ agar ġhair-e-ḳhudā samjhūñ to maiñ kāfir huuñ
apne dar pe mujhe rahne kī ijāzat de do
na use 'arsh-e-ulā samjhūñ to maiñ kāfir huuñ
sāmne jab bhī tumheñ paañv maiñ apne jānāñ
na agar sajda ravā samjhūñ to maiñ kāfir huuñ
maz.hab-e-'ishq meñ kī jaatī hai aise puujā
sar uThāne ko bajā samjhūñ to maiñ kāfir huuñ
terī dahlīz pe karatā hī rahūñgā sajde
kā'ba bhī us ke sivā samjhūñ to maiñ kāfir huuñ
tum ko gar KHud se juda samjhun to main kafir hun
main agar ghair-e-KHuda samjhun to main kafir hun
apne dar pe mujhe rahne ki ijazat de do
na use 'arsh-e-ula samjhun to main kafir hun
samne jab bhi tumhein panw main apne jaanan
na agar sajda rawa samjhun to main kafir hun
mazhab-e-'ishq mein ki jati hai aise puja
sar uThane ko baja samjhun to main kafir hun
teri dahliz pe karata hi rahunga sajde
ka'ba bhi us ke siwa samjhun to main kafir hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.