Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aag daman mein lag jaegi dil mein shoala machal jaega

Fana Bulandshahri

aag daman mein lag jaegi dil mein shoala machal jaega

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    aag dāman meñ lag jā.egī dil meñ sho'ala machal jā.egā

    merā sāġhar na chhūnā kabhī sāqiyā haath jal jā.egā

    ek din vo zarūr ā.eñge dard saaya Tal jā.egā

    is zamāne parvā nahīñ ye zamāna badal jā.egā

    aa gayā merā āñkhoñ meñ dam ab to jalva dikhā dījiye

    aap baat rah jā.egī merā armāñ nikal jā.egā

    be-sabab ham se rūTho na tum ye laḌā.ī burī chiiz hai

    sulh kar lo ḳhudā ke liye ye burā vaqt Tal jā.egā

    mai-kasho us nazar suno kah rahī hai vo sho’la-badan

    mai nahīñ jaam meñ aag hai jo piyegā vo jal jā.egā

    koī aañsū nahīñ aañkh meñ baat ghar abhī ghar meñ hai

    tum jo yuuñ satāte rahe dard ashkoñ meñ Dhal jā.egā

    duur haiñ jab talak tum se ham kaise hogā madavā-e-ġham

    ek daf.a tum milo to sanam ġham ḳhushī meñ badal jā.egā

    gar yuuñ ghar meñ baiThā rahā maar Dāleñgī tanhā.iyāñ

    chal zarā mai-kade meñ chaleñ ai 'fanā' dil bahal jā.egā

    aag daman mein lag jaegi dil mein sho'ala machal jaega

    mera saghar na chhuna kabhi saqiya hath jal jaega

    ek din wo zarur aaenge dard ka saya Tal jaega

    is zamane ki parwa nahin ye zamana badal jaega

    aa gaya mera aankhon mein dam ab to jalwa dikha dijiye

    aap ki baat rah jaegi mera arman nikal jaega

    be-sabab hum se ruTho na tum ye laDai buri chiz hai

    sulh kar lo KHuda ke liye ye bura waqt Tal jaega

    mai-kasho us nazar ki suno kah rahi hai wo sho’la-badan

    mai nahin jam mein aag hai jo piyega wo jal jaega

    koi aansu nahin aankh mein baat ghar ki abhi ghar mein hai

    tum jo yun hi satate rahe dard ashkon mein Dhal jaega

    dur hain jab talak tum se hum kaise hoga madawa-e-gham

    ek dafa tum milo to sanam gham KHushi mein badal jaega

    gar yun hi ghar mein baiTha raha mar Dalengi tanhaiyan

    chal zara mai-kade mein chalen ai 'fana' dil bahal jaega

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now